Thursday, 6 February 2014

YUSUF ALAIHISALAAM AUR AAINA

YUSUF ALAIHISALAAM AUR AAINA

Hazrat Yusuf Alaihisalaam ka ek dost aapse mulaqaat karne aaya. Hazrat Yusuf Alaihisalaam ne usse farmaya bhai dost, dost ke paas aata hai to uske liye koi tohfa laata hai batao tum mere liye kya laaye ho??

Dost ne jawab diya iss waqt duniya me aapse badhkar koi aur haseen wa jameel cheez hai hi nahi jo me aapke liye laata isliye mai to aapki khidmat me aap hi ko laaya hu. Yeh kehkar ek aaina Hazrat Yusuf Alaihisalaam ke saamne rakh diya aur kaha lijiye isme apne husn wa jamal ka nazara kijiye isse badhkar aur kya tohfa hoga?
(Masnavi Sharif)

Sabaq - Insaan ko cahiye ki wah apna dil misl aaine ke saaf wa saffaq bana le. Kaal jab KHUDA puche ki mere liye kya laaye ho to yahi dil haazir kar de aur arz kare ki ILAAHI yeh dil laaya hu jisme tere hi jalwe hain.
SUBHAN ALLAH
SUBHAN ALLAH

No comments:

Post a Comment