Sunday, 16 February 2014

Huzur Pak ki Zindegi

HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne zindagi me sirf 1 baar Hajj kiya aur 4 baar Umra kiya. HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne 53 saal Makkah me aur 10 saal Madina me guzare. HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke 3 bete Qasim(RadiAllahu Anhu), Ibrahim(RadiAllahu Anhu) aur Tahir (RadiAllahu Anhu) the.
Aur 4 ladkiya thi
1. Zainab Radiallahu Anha 2. Ruqaiya Radiallahu Anha 3. Umme kulsum Radiallahu Anha 4. Fathima Radiallahu Anha
HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ham-shakl sahabi ka naam Hazrat Musab Bin Umair (RadiAllahu Anhu) tha. HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke daant mubarak Jang-e-Uhad me shaheed hue. HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab is dunya se zahiri pardah farma hue to Hazrat Ali (RadiAllahu Anhu) ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ghusal diya. HUZOOR (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke tadfeen ke liye Hazrat Abi Talha (RadiAllahu Anhu) ne qabr mubarak khodi.
subhanALLAH

No comments:

Post a Comment