Sunday, 16 February 2014

Waaqiya

Shaitaan Ki Haar:
Sarkar Gause Aazam Radi Allahu Ta'ala Anhu
Ek Martaba Ek Aise Jungle Me Tashreef Le
Gaye Jahan Khaane Aur Pine Ki Chizon Ka Dur-
Dur Tak Nishaan Na Milta Tha...Musalsal Bahut
Dino Tak Ibadat Karne Ke Baad Aapko
Bhookh Aur Pyaas Ki Jaroorat Huyi Ki Sarkar
Gause Aazam Dekhte Hain Ki Poore Aasman
Mein Baadal Chha Gaye Aur Khoob Barish
Huyi Aur Aapne Jee Bhar Ke Paani Piya...
Thodi Der Ke Baad Tez Roshni Huyi Aur
Aasman Ke Kinaaro Me Fail Gayi Aur Isme Se
Aawaz Aani Shuru Huyi....
"Abdul Qadir ! Main Tumhara KHUDA Hun Aur
Aaj Se Mene Tumhare Liye Haraam Chize Bhi
Halaal Aur Namaz Muaf Kar Di.."
Sarkar GAUSE PAAK Ne Ye Sunte Hi "Auzo
Billahi Minas Shaitan Nir Rajeem Aur" Laa Hol
Wala Quwwata Illa Billahil Aliyeel Azim" Ka
Wird Farmaya...
Forun Roshni Gayab Ho Gayi Aur Uski Jagah
Par Dhuan Fail Gaya, Fir Aawaz Aayi.....
"Abdul Qadir Tumko Tumhare Ilm Ne Bacha
Liya Varna Main Tum Jaise Na Jaane Kitne
Aabid-o-Jaahid Ko Is Taarikh Waadi Me
Gumraah Kar Chuka Hun..."
Aap Sarkar Gause Paak Ne Jawab Diya-
"Kambhakht Shaitaan, "Mujh Ko Mere Ilm Ne
Nahi Fazle Rab Ne Bacha Liya Hain..."
Ye Sun Kar Shaitaan Ek Thandi Saans Li Aur
Ye Kehta Hua Chala Gaya Ki Tum Fir Bach
Gaye...
(Seerat-e-GauseAazam, Page No.-78-79)

No comments:

Post a Comment