Sunday 16 February 2014

Surah Yaseen Ki Tilawat Ka Ajar

 Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
“Beshaq Har Cheez Ka Ek Dil Hota Hai Aur Quraan Ka Dil Sureh Yasin Hai, Aur Jo Ek Martaba Sureh Yasin Padega Uske Liye 10 Martaba Quraan Padhne Ka Sawaab Likha Jayega”
-: (Tirmizi-4)

» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
“Apne Marne Walo Par Surah-e-Yasin Parha Karo”
-: (Abu Dawood)

» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya,
“Jis Ne Shab-e-Jumma Surah-e-Yaseen Ki Tilawat Ki Uski Magfirat Kardi Jaygi”.
-: (Al-Targeeb Wal-Tarheeb, J1p298)

» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya:
“Din Ke Shuru Hisse Me Jo Koi Surah-e-Yaseen Parhe, Toh Uski Hajaten (Zarooraten) Poori Kar Di Jaati Hain”
-: (Daarmi)

» Jo Shakhas Hamesha Her Raat Surah-e-Yasin Sharif Ki Tilawat Karta Raha Phir Mar Gaya to Shaheed Marega.
-: (Dur-E-Mansoor,Page # 38).

No comments:

Post a Comment