Hazrat Abu Zar
Razi Allahu Ta'ala Anhu se riwayat hai, farmate hain, Nabi-e-Kareem
Sallallahu Alaihe Wa Alehi Wasallam mosam-e-sarma mein (ek bagh mein)
tashreef le gaye jabke (darkhaton ke) patte jhar rahe they, to Hazoor
Sallallahu Alaihe Wa Alehi Wasallam ne ek darakht ki do (02) shakhein
pakar li (aur un ko hilaya) to unke pattey jharne lage,
Hazrat Abu Zar Razi Allahu Ta'ala Anhu farmate hain, phir (Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wa Alehi Wasallam ne) farmaya:
“aye Abu Zar ! To Hazrat Abu Zar Razi Allahu Ta'ala Anhu ne arz kiya, Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wa Alehi Wasallam main hazir hun. To Aap Sallallahu Alaihe Wa Alehi Wasallam ne farmaya: jab banda-e-Momin Allah Ta'ala ki Raza chahne ke liye Namaz ada karta hai to uske gunah aise hi jhar jate hain jaise in tehniyon ke pattey jhar agye.

No comments:
Post a Comment