Monday, 3 February 2014

Zaleel Aadami

Hazrat Abu Hurairah (RaziyAllahu Anhu) Se Riwayat Hai
Ki
Huzoor Nabi E Kareem (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Irshaad Farmaya:
Woh Aadami Zaleel WO Khwaar Ho, Fir Zaleel WO Khwaar Ho, Fir Zaleel WO Khwaar Ho.
Arz Kiya Gaya: YA RASOOLULLAH (Sallallahu Alaihi Wa Sallam). Kaun (Zaleel WO Khwaar Ho)?
Aap (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Irshaad Farmaya:
Woh Shakhs Jo Apne MAA-BAAP Mein Se Kisi Ek Ko Ya Dono Ko Budhape (Buzurgi) Ki Haalat Mein Paaye, Fir (Unki Khidmat Se Unka Dil Khush Kar Ke) JANNAT Mein Daakhil Na Ho.
[REF: Muslim Shareef]

No comments:

Post a Comment