HIQAYAT
*********
Ek Aurat Apne Bacche Ko Leker Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ke Paas Haazir Hui Aur Kehne Lagi, Is Mere Bacche Ko Huzoor Se Badi Mohabbat Hain! Main Isko Aapke Paas Chhodti Hoon! Iski Tarbiyat Farmayiye Aur Fuyuz Wa Barkaat Se Ise Mala-Maal Kijiye!
Chunanche, Wo Aurat Apne Bacche Ko Hazrat Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ki Khidmat May Chhod Gayi! Kuch Dino Ke Baad Apne Bacche Ko Dekhne Keliye Aayi To Dekha Ki Uska Baccha Kamjor Hogaya Hain Aur Jau Ki Kushk Roti Kha Raha Hain! Fir Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ki Khidmat May Gayi To Dekha Ki Aapke Aage Paki Hui Murgi Rakhi Hain Jise Aap Tanawul Farma Rahe Hain! Us Aurat Ne Arz Kiya, Huzoor! Aap Khud To Murgi Kha Rahe Hain Aur Mera Beta Jau Ki Khushk Roti Kha Raha Hain!
Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ne Us Khayi Hui Murgi Ki Haddiyon Per Apna Hath Rakha Aur Farmaya,
"Kum-Bi-Iznillah"
Itna Farmana Tha Ki Wo Murgi Zinda Hoker Bolne Lagi! Huzoor Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ne Farmaya, Dekha! Jab Tumahra Beta Bhi Is Darje Tak Pahuch Jayega To jo Chahe Khaya Karega!
(Bahzatul Asraar, Pg- 65)

No comments:
Post a Comment