Thursday, 6 February 2014

KARAMAAT-A-GAUS-A-AAZAM

•••»KARAMAAT-A-GAUS-A-AAZAM«•••
'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''
Aapke Iradat-Mandon Ki Qabr Ke Ajaab Se Najaat:-

Baghdaad Sharif Ke Mohalla Babul Ajaj Ke Qabristan May Ek Qabr Se Murde Ke Cheekhne Ki Awaaz Sunayi Deti Thi! Logon Ne Yeh Baat Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Se Arz Ki! Aapne Pucha Ki Kya Us Qabr Wale Ne Mujhse Khirka Pehna Hain? Logon Ne Kaha, Hame Malum Nahi! Fir Aapne Pucha, Kya Kabhi Usne Meri Majlis May Haaziri Di Hain? Logon Ne Arz Kiya, Hame Malum Nahi! Fir Aapne Pucha Ki Kya Usne Mere Khane Se Kuch Khaya Tha? Logon Ne Arz Kiya, Hame Malum Nahi! Uske Baad Aapne Muraakaba Farmaya Aur Sir-A-Aqdas Uthaker Farmaya Ki Farishton Ne Mujhe Bataya Ki Us Shaks Ne Aapki Ziyarat Ki Hain Aur Aapse Husn-A-Jan Wa Mohabbat Rakhta Tha! Isliye Is Wajahse Haq-Ta'aala Ne Usper Rahem Farmaya! Uske Baad Us Qabr Se Kabhi Awaaz Sunayi Na Di!

(Tohfatul Qaadariya, Pg-47)

*********************************
TASHRIH:-
'''''''''''''''''''
Saiyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ne Yeh Sawalaat Isliye Puche Ki Logon Ko Yeh Baat Zahen-Nasheen Hojaye Ki Agar Kisine Aapka Khirka Nahi Pehna Ya Majlis May Haazir Na Ho Saka Ya Aapke Piche Namaz Na Padh Saka, Tab Bhi Agar Aapse Husn-A-Jan Rakha Aur Mohabbat Rakhi To Haq-Ta'aala Usper Rahem Farmata Hain! Jo Log Aapke Zamane May The Unke Liye Mumkin Tha Ki Wo Aapki Inayat Se Khirka Haasil Kerlete Ya Aapki Majlis May Haazir Hojate Ya Aapke Piche Namaz Padh Lete! Lekin Yeh Sa-Aadat Baad May Aane Walon Ko Kaise Haasil Hosakti! Isliye Baad Walon Keliye Yeh Badi Sa-aadat Hain Ki Aapse Husn-A-Jan Aur Mohabbat Rakhen Ya Khud Ko Aapki Taraf Jode Ya Silsila Qaadariya May Dakhil Hoker Aapse Nisbat Kayim Karen!

No comments:

Post a Comment