Hazrat Muhammad (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) ne
farmaya
"Ek baar ek Admi Raste par Chala jaa raha tha ke use bahut
pyaas lagi. Usne Ek Kuwa(well) paya to usme utar kar usne
pani piya, phir Bahar Nikal aaya. Wahi ek Kutta tha Jo Pyas
ke maare Zaban bahar nikal raha tha (haampte hue)
keechad Chaat raha tha. Us Admi ne (Dil me) kaha : ye kutta
bhi pyas se pareshan hai jis tarah Mai pyas se pareshan ho
raha tha. Wo Kunwe me Utra aur Apna mauza (leather
sock) pani se bhara aur Usey Muh me pakad kar Upar
Chadha aur Kutte ko pani pilaya. Allah ko ye baat itni
pasand aai ki Allah ne us insan ko maaf kar diya aur jannat
dene ka elan kar diya.
Sahaba (Razi Allahu Anhum) ne Arz kiya : "Aye Allah ke
Rasool (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM)! Kya agar hum bhi
jaanwaro par taras khayege to isme humko bhi sawab
(punya) milega.

farmaya:
"HAR JAANDAAR KI DEKHBHAAL ME AJAR HAI."
[BUQARI & MUSLIM]

No comments:
Post a Comment