Sunday, 2 February 2014

HADIS SHORIF

Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne sahaba
(radi allahu anhu) se Farmaya Ke -
Kya Tum Jaante Ho Ke garib kaun He???? To Sahaba (radi
allahu anhu) Ne Arz Kiya Ke Ham to garib Usi Ko Samjhte
He Jiske Paas Maal aur paisa nahi hai, To Aapne Farmaya Ke
-
Meri Ummat Ka garib Wo Hoga Jo Qayamat Ke Din (marne
ke baad jab wapas zinda hoga tab) Bahut Si Namaze, Roze
Aur Zakaat (donation) Wagherah Lekar Aayega Magar Haal
uska haal ye Hoga Ke usne Kisi Ko Gaali Di Hogi, Kisi Par
jhoota Ilzaam Lagaya Hoga,
Kisi Ka Maal hadap liya Hoga, bina kisi wajah ke kisi ka
Khoon Bahaya Hoga, Kisi Ko Maraa Peeta Hoga, Lihaza un
insano ka aaj Badla Diyaa Jayega aur Har wo insan Apna
Badlaa Lene Aa Jayega
Uski Neikiyaan (punya) Uthaa-Uthaa Kar Di Jaane Lagengi
Yahan Tak Ke Us insan Ki Naikiyaan (punya) Sab Khatam Ho
jayenge Magar Daawedaar Baaqi Reh Jaayenge, aakhir mein
Un Daawedaaro Ke Gunaah Us Par Laad Diyaa Jayega or
Phir Use Jahannam Main phenk Diyaa Jayega
- Muslim Shareef, Mishkaat Shareef

No comments:

Post a Comment