Sunday, 2 February 2014

Fazilat e Madina Munawwara

Hazrat E Ali Bin Abi Taalib Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Ke Huzur Sallallaho Alyhe Wasallam Ne Ek Jagaah Wuzu Kiya Aur Allah Se Duwa Maangi

✏Aye Allah Ibrahim Alyhissalam Tere Bande Aur Dost The. Me Bhi Tera Banda Aur Rasool Hu. Unhone Ahl e Makkah Ki Barkat Liye Tujse Duwa Mangi Thi. Mai Bhi Tera Rasool Hu Mai Tujse Ahl E Madina Ke Liye Us Se Dooguni Barkat Ki Dua Maangta Hu Jis Tarah Tune Ahl E Makkah Me Barkate Ataa Farmaayi Usi Tarah Ahl E Madina Me Dooguni Ataa Farma..

(Tirmizi Shareef , Vol 2 , Hadeesh No 1846)
***********************
Hazarat E Aboo Hurrairah Radiallaho Anho Se Rivayat Hai Ke Huzur Sallallaho Alyhe Wasallam Ne Farmayaa

✏Mere Ghar Aur Mimbar Ke Darmiyan Jannat Ke Baago Me Se Ek Baag Hai. Aur Farmaaya " Meri Masjid Me Masjid E Haraam Ke Alawa Doosri Kisi Masjid Me Ek Hazaar Namaz Parhne Se Behtar Hai..

(Tirmizi Shareef , Vol 2 ,Hadeesh No 1848, 1847)
(Sahih Bukhari , Vol 1 , Hadeesh No 1770)
***************************
Hazarat E Ibn Umar Radiallaho Anho Se Marvi Hai Ke Huzur Sallallaho Alyhe Wasallam Ne Farmaya

✏Jis Se Ho Sake Ke Madina Munawwara Me Mare Vahi Marne Ki Koshish Kare Jo yahan Pe Marega Mai Uski Shafaa'at Karoonga..

(Tirmizi Shareef , Vol 2 ,Hadeesh No 1849, 1850) —

No comments:

Post a Comment