Thursday, 6 February 2014

JASHAN-E-WILADAT

JASHAN-E-WILADAT SARKAR KHATIMUL AMBIYA SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM PART 27
*****************************************************************************************
ZAHIDANA ZINDAGI
****************
HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA ne bataya ki HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM jis bistar per sote the wo chamde ka gadda tha jis me rue ki jagah darkhto ki chal bhari hue thi.
HAZRAT HAFSA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA kaihti hai ki meri bari ke din HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ek mote tat per soya karte the jisko mai do taih karke bicha diya karti thi.ek martaba maine us tat ko chaar (4)baar taih karke bicha diya to subah ko aapne irshad farmaya ki paihle ki tarah is tat ko tum dohra karke bicha diya karo .kiyuki mujhe andesha hai ki is bistar ki narmi se kahi mujhper gaihri need ka hamla ho jaye to meri namaze tahajjud me khalal paida ho jayega.Riwayat hai ki kabhi kabhi HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ek aisi chaarpayi per bhi araam farmaya karte the jo khurdare baan se buni hue thi .jab aap bagair bichaone ke us charpayi per let te the to jisme nazuk (mubarak )per baan ke nishaan pad jaya karte the .
(SHIFA SHAREEF JILD 1 SAFA 82 WA 83))

No comments:

Post a Comment