Namaaz mein aasteen aur pant, payjama ya shalwar ko andar ya baaher ki taraf morna, lapetna ya sametna Makrooh Tahrimi hai.
Makrooh Tahrimi ayse kaam ko kehte hain jis se Hadis mein mana kiya gaya ho, is se bachna wajib hai.
Makrooh Tahrimi ko karne wala shakhs gunahgaar hoga, agar Makrooh Tahrimi kaam Namaaz mein paya jaye to Namaaz mukammal nahi hogi aur Namaaz ko 2bara parhna waajib hoga, jaysa ke Raddul Mohtaar mein hai: ' Har Namaaz jo Makrooh Tahrimi ke sath ada ki jaye usko lautana waajib hai. '
Agar aasteen ya paynche charhe huwe ho to Namaaz se pehle unhe utaarna zaruri hai chahe Rak'at chhoot jaye.
Hadis sharif mein hai ke mujhe 7 haddiyo par Sajda karne ka hukm diya gaya aur baal ikatthe karne aur kapra morne aur sametne se mana kiya gaya.
Ye Hadis Sahih Bukhaari, Sahih Muslim aur 2sri mo'tabar kitaabo mein alag alag alfaaz ke sath ayi hai.
Sahih Bukhaari: Hadis no. 809, 810, 812, 815 & 816
Sahih Muslim: Hadis not. 1123, 1124, 1125, 1126 & 1127
Durre Mukhtaar + Raddul Mohtaar: 2/909
Fataawa Razwiya: 7/309 & 316

No comments:
Post a Comment