Monday, 3 March 2014

HADEES E PAAK

HADEES
*********
Ek Hadees May Hain Hazrat Aayesha Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Farmati Hain, Ek Aurat Hamare Paas Aayi Jab Wo Chali Gayi To Maine Hath Ke Ishare Se Bataya Ki Wo Naati (Chota Kadh) Hain, Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Irshad Farmaya Tumne Uski Geebat Ki!

(Kanoon-A-Shari-at, Pg-519)

********************************
MASLA
********
Ek Surat Geebat Ki Nakl Hain Maslam Kisi Langde Ki Nakl Kare Aur Langdaker Chale,Ya Jis Chaal May Koi Chalta Ho Uski Nakl Utaari Jaye Ye Bhi Geebat Hain! Balki Zabaan Se Kehdene Se Yeh Zyada Bura Hain, Kyonki Nakl Karne May Puri Taswir-Kashi Aur Baat Ko Samajhna Paya Jata Hain!

(Kanoon-A-Shari-at)

No comments:

Post a Comment